tujh bin to kabhi gul ke tain bu na karun main mar jaun pa gulshan ki taraf ru na karun main gar jad ko sumbul ki saba bechne lawe khatir se teri qimat-e-yak-mu na karun main palle mein tere husn ke go ho wo giran-tar yusuf ko tera sang-e-taraazu na karun main yun dil ko giraftar rakhun said-e-alam mein par aur ka said-e-kham-e-gesu na karun main gar hur-o-pari dil ko lubhawe mere aa kar wallah ki us par kabhi jadu na karun main gar marsiya-khwani pe dil aawe kabhi mera tu howe to daud ko bazu na karun main hun bas-ki hawa-dar teri aatish-e-gham ka phunk jae jo sina to kabhu hu na karun main yun dekhun to dekhun kisi khush-waza ko lekin khwahish ki nazar bar-rukh-e-neku na karun main bulbul ki tarah gul pe na hun zamzama-parwaz qumri ki tarah sarw pe ku ku na karun main jab raat ho zanu pe rakho apne sar apna par takiya-e-sar ghair ka zanu na karun main mehrab ke kabe ka namazi hun to wan bhi juz sajda-e-taq-e-kham-e-abru na karun main jab tak na khulen mujh se tere husn ke uqde hargiz hawas-e-nafa-e-ahu na karun main ham-khwaba agar howe meri hur-e-bahishti idhar se udhar ko kabhi pahlu na karun main koi aur to kab mujh ko lubha sakta hai lekin darta hun tasawwur se tere khu na karun main ai 'mushafi' hai ahd ki jab tak na wo gul ho gul-gasht-e-gul o sair-e-lab-e-ju na karun main