mere saqi ek aisa daur-e-saghar

mere saqi ek aisa daur-e-saghar
piyun ji bhar ke ashk-e-dida-e-tar

jamal-e-dost yun ho jalwa-farma
giren meri nazar se mah-o-akhtar

hawaen le uden zulfon ki khushbu
ye duniya ho faza-e-ud-o-anbar

tere qurb-e-shamim-ara ke sadqe
meri har sans ho jae moattar

dhadakta hai mera dil be-tahasha
larazti hai agar shakh-e-gul-e-tar

chamakta ja chamakta ja musalsal
tamannaon ke ai mah-e-munawwar

yahan hain phul kam kante ziyaada
to phir ho jaiye kanton ke khugar

isi ummid par kat jae ya rab
kabhi hoga sukun-e-dil mayassar

mujhe sheron mein kah dena hai 'maghmum
guzarti hai jo lamha lamha dil par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close