koi jalwa-fishan hai aur main hun tasawwur ka jahan hai aur main hun kathin hai rah manzil gum shab-e-tar magar azm-e-garan hai aur main hun khizan ki anjuman mein hun farokash fareb-e-gulistan hai aur main hun ye mera dil hai ya taswir-khana jamal-e-gul-rukhan hai aur main hun hamara karwan bhatka hua hai khayal-e-karwan hai aur main hun nazar mein mawara-e-farsh-o-arsh ab faza-e-do-jahan hai aur main hun mera koi sharik-e-gham nahin hai mera dard-e-nihan hai aur main hun tassub hai kahin firqa-parasti ajab nazuk saman hai aur main hun shab-e-tarik ke daman mein 'maghmum sukut-e-bekaran hai aur main hun