mere sine se tera tir jab ai jang-ju nikla dahan-e-zakhm se khun ho ke harf-e-arzu nikla mera ghar teri manzil-gah ho aise kahan tale khuda jaane kidhar ka chand aaj ai mah-ru nikla phira gar aasman to shauq mein tere hai sargardan agar khurshid nikla tera garm-e-justuju nikla mai-e-ishrat talab karte the nahaq aasman se hum wo tha labrez-e-gham is khum-kade se jo subu nikla tere aate hi aate kaam aakhir ho gaya mera rahi hasrat ki dam mera na tere ru-ba-ru nikla kahin tujh ko na paya garche hum ne ek jahan dhunda phir aakhir dil hi mein dekha baghal hi mein se tu nikla khajil apne gunahon se hun main yan tak ki jab roya to jo aansu meri aankhon se nikla surkh-ru nikla ghise sab nakhun-e-tadbir aur tuti sar-e-sozan magar tha dil mein jo kanta na hargiz wo kabhu nikla use ayyar paya yar samjhe 'zauq' hum jis ko jise yan dost apna hum ne jaana wo udu nikla