ye khel bhul-bhulayyan mein hum ne khela bhi teri talash bhi ki aur khud ko dhunda bhi mera nasib thi hamwar raste ki thakan mera harif pahadon pe chadh ke utra bhi ye aarzu thi ki yak-rang ho ke ji leta magar wo aankh jo shaitan bhi hai farishta bhi samundaron se guhar kab ke ho gae napaid bhanwar ke sath main gahraiyon mein utra bhi barahnagi pe bhi guzra qaba-e-zar ka guman libas par hua juzw-e-badan ka dhoka bhi garajne wale baraste nahin ye sunte the guzishta raat wo garja bhi aur barsa bhi