mere tere milne ka kuchh uslub nahin hai juz girya koi chaara-e-marghub nahin hai ro ro ke main kahta hun tu hans hans nahin sunta shokhi teri ai yar nipat khub nahin hai rota raha main hanste hi dil le gaya mera ye shokh nipat shokh hai mahjub nahin hai darban mujhe kyon dar se nikale hai shab-o-roz juz is ke koi apna to marghub nahin hai yaqut-o-guhar kut ke aapas mein bhare hain wallah ki teri chashm pur-ashob nahin hai naseh ki sune kaun hikayat nasaeh maghz is ka nipat khushk hai martub nahin hai sunte the ki bad-khu hai 'ali' wo but-e-kafir dekha to koi us se khush-uslub nahin hai