mere us ke darmiyan ye fasla apni jagah hai aahaton aur dastakon ka silsila apni jagah hai sina-e-awaz mein hai barf ki talwar gum be-sada gumbad ka lekin masala apni jagah hai main chamakti ret ki atkheliyon ka hun asir ediyon ka iztirabi mashghala apni jagah hai khud-farebi ka bharam tuta chalo achchha hua unghti bedariyon ka marhala apni jagah hai