mere wahm-o-guman se bhi ziyaada tut jata hai ye dil apni hadon mein rah ke itna tut jata hai main roun to dar-o-diwar mujh par hansne lagte hain hansun to mere andar jaane kya kya tut jata hai main jis lamhe ki khwahish mein safar karta hun sadiyon ka kahin panw-tale aa kar wo lamha tut jata hai mere khwabon ki basti se janaze uthte jate hain meri aankhen jise chhu len wo sapna tut jata hai na jaane kitni muddat se hai dil mein ye amal jari zara si thes lagti hai zara sa tut jata hai dil-e-nadan hamari to numu hi na-mukammal thi to hairat kya jo bante hi irada tut jata hai muqaddar mein mere 'sagar' shikast-o-rekht itni hai main jis ko apna kah dun wo sitara tut jata hai