dasht-e-dil mein sarab taza hain bujh chuki aankh khwab taza hain dastan-e-shikast-e-dil hai wahi ek do chaar bab taza hain koi mausam ho dil-gulistan mein aarzu ke gulab taza hain dosti ki zaban hui matruk nafraton ke nisab taza hain aagahi ke hamari aankhon par jis qadar hain azab taza hain zakhm-dar-zakhm dil ke khate mein doston ke hisab taza hain sar pe budhi zamin ke 'amjad' ab ke ye aaftab taza hain