mere zehn-o-dil mein fikr-o-fan mein tha nim ka wo ped jo aangan mein tha jis pe likkha tha mera nam-o-nasab qaid main mitti ke us bartan mein tha ek wo har dasht mein sairab tha ek main pyasa har ek sawan mein tha dekh kar bhi jo na dekha ja saka aks-ara wo har ek darpan mein tha kah na paya jaane kyun ek harf bhi jaane kya us aadmi ke man mein tha jis ko koi nam de sakta nahin wo bulawa us parae-pan mein tha aandhiyan sab kuchh uda kar le gain ped par patta na phal daman mein tha ja-ba-ja qaus-e-quzah ki chhut thi ek tilism aabaad pairahan mein tha chhin kar 'shadab' koi le gaya ek anokha sukh jo ghar-angan mein tha