meri aah be-asar hai main asar kahan se laun tere pas tak jo pahunche wo nazar kahan se laun mujhe bhul jaane wale tujhe kis tarah bhulaun jise dard ras aae wo jigar kahan se laun mere rizq-e-bandagi ko tere dar se wasta hai jo jhuke baru-e-kaba main wo sar kahan se laun mere pas dil ke tukde mere pas khun ke aansu tu hai sim-o-zar ki dewi to main zar kahan se laun shab-e-gham ke ye andhere mera sath de rahe hain jo mitae zulmaton ko wo sahar kahan se laun wahi barq jis ne gir kar meri zindagi jala di main usi ko dhundta hun wo sharar kahan se laun meri zindagi hai 'shewan' kuchh ajib kashmakash mein wo asar ko chahte hain main asar kahan se laun