junun ke walwale jab ghut gae dil mein nihan ho kar to utthe hain dhuan ho kar gire hain bijliyan ho kar kuchh aage badh chale saman-e-rahat la-makan ho kar falak pichhe raha jata hai gard-e-karwan ho kar kisi din to chale ai aasman baad-e-murad aisi ki utren kashti-e-mai par ghataen baadban ho kar na jaane kis bayaban marg ne mitti nahin pai bagule ja rahe hain karwan-dar-karwan ho kar wafur-e-zabt se betabi-e-dil badh nahin sakti gale tak aa ke rah jate hain nale hichkiyan ho kar gulu-gir ab to aisa inqalab-e-rang-e-alam hai ki naghme nikle minqar-e-anadil se fughan ho kar jo ho kar abr se mayus khud sinche kabhi dahqan jala den khet ko pani ki lahren bijliyan ho kar jahan mein washud-e-khatir ke saman ho gae lashe jagah rahat ki na-mumkin hui hai la-makan ho kar hanse koi na bijli ke siwa is dar-e-matam mein agar rah jae sara khet kisht-e-zafaran ho kar alam mein aashiyan ke is qadar tinke chune main ne ki aakhir bais-e-taskin hue hain aashiyan ho kar ghataen ghir ke kya kya hasrat-e-farhad par roin chaman tak aa gain nahren pahadon se rawan ho kar dil-e-shaida ne paya ishq mein mearaj ka rutba yahan akasr buton ke zulm tute aasman ho kar jo darte darte dil se ek harf-e-shauq nikla tha wo us ke samne aaya zaban par dastan ho kar nikal aae hain har iqrar mein inkar ke pahlu bana deti hain hairan teri baaten makr yan ho kar nazakat ka ye aalam phul bhi tode to bal kha kar na jaane dil mera kis tarah toda pahlwan ho kar tadarrau-o-kabak par hans kar utthe khud ladkhadate hain subuk karte hain un ko paenche bar-e-giran ho kar gala ghonta hai zabt-e-gham ne kuchh aisa ki mushkil hai ki nikle munh se aawaz-e-shikast-e-dil fughan ho kar pata andesha-e-salik ne paya manzil-e-dil ka tu palta la-makan se aasman-dar-asman ho kar hui phir dekhiye aa bustan-e-shadi-o-gham duniya abhi paida hue the ranj-o-rahat to aman ho kar jo nikli hogi koi aarzu to ye bhi niklega tumhaara tir-e-hasrat ban gaya dil mein nihan ho kar utar jaega tu o aaftab-e-husn kothe se girega saya-e-diwar hum par aasman ho kar