meri aahon mein asar hai ki nahin dekh to lun rifat-e-dard-e-jigar hai ki nahin dekh to lun wo jo tha bais-e-taskin-e-gham-e-hijr kabhi ab wahi dida-e-tar hai ki nahin dekh to lun wo to aa jaenge sar-ta-pa tajalli ban kar tab-e-nazara magar hai ki nahin dekh to lun sham-e-gham roz-e-azal se rahi hamrah mere mere gham ki bhi sahar hai ki nahin dekh to lun khana-e-dil mein farozan hai jo manind-e-charagh dagh wo rashk-e-qamar hai ki nahin dekh to lun