kya sahl samjhe ho kahin dhabba chhuta na ho zalim ye mera khun hai rang-e-hina na ho yarab mujhe hai dagh-e-tamanna bahut aziz pahlu se dil juda ho magar ye juda na ho rahen nikalta hai yahi soz-o-saz ki pahlu mein dil na ho to koi hausla na ho tum aur wafa karo ye na manunga main kabhi us ko fareb do jo tumhein jaanta na ho kya kya 'sharar' zalil hue aabru gai aisa bhi aashiqi ka kisi ko maza na ho