meri aankhon mein gham ki nishani nahin pattharon ke piyalon mein pani nahin main tujhe bhul kar bhi nahin bhulta pyar sona hai sone ka pani nahin meri apni bhi majburiyan hain bahut main samandar hun pine ka pani nahin mera chehra lakiron mein taqsim hai aainon se mujhe bad-gumani nahin sham ke baad bachchon se kaise milun ab mere pas koi kahani nahin mausamon ke lifafe badalte rahe koi tahrir itni purani nahin koi aaseb hai is hasin shahr par sham raushan hai lekin suhani nahin