meri aarzu nae rup bhar ke hazar phul khilaegi mujhe apne bagh se ishq hai to kabhi bahaar bhi aaegi mere sathiyon ne qadam qadam pe diye bujha bhi diye to kya nae raston mein nai umang nae charagh jalaegi mere gham pe tana-zani na kar main nahin hun munkir-e-sarkhushi abhi sogwar hai zindagi kabhi ga sakegi to gaegi main chaman-parast sahi magar mujhe apne dil se ye khauf hai jo chaman ka haal yahi raha to qafas ki yaad sataegi jinhen kal ki koi khabar nahin wo gham-e-khizan ka gila karen mujhe ye yaqin hai ki fasl-e-gul jo ab aaegi to na jaegi