wahi hai tarz-e-taghaful wahi hai khu mujh mein utar gaya ho wo jaise ki hu-ba-hu mujh mein main manzilon ko bhi ab rahguzar samajhta hun kahan se umda hai ye shauq-e-justuju mujh mein rahega zindagi pe fakhr ta-dam-e-akhir agar jhalakti rahi shan-e-abru mujh mein khushi yahi hai bil-akhir kisi ke kaam aae bacha hua hai jo ek bund bhar lahu mujh mein agarche mai-kade mein ja saka na muddat se basa hai ab bhi magar shor-e-ha-o-hu mujh mein ye kis ke dam se charaghan hai meri bazm-e-khayal ye kaun karta hai chhup-chhup ke guftugu mujh mein kisi tarah se meri bartari na ho pai khayal-e-dost bhi ban kar raha adu mujh mein mujhe yaqin hai wo din zarur aaega ki jab main tujh mein samaunga aur tu mujh mein bana hai marja-e-ahbab ghar mera 'gauhar' dar aai mehr-o-mohabbat ki jab se bu mujh mein