meri afsurdagi se lutf uthane wale kitne zalim hain ye sab log zamane wale log hanste hain udasi mein tadapta hun jab ek to dard hai upar se satane wale pyar apni jagah par ek shikayat hai mujhe tum ne aane mein bahut der ki aane wale main kabhi pas chala jata tha rone ke liye aur kabhi zehn mein aa jate rulane wale ek taraf ranj bulata hai musalsal mujh ko dusri aur mujhe ranj bulane wale markaz-e-karb ka 'ahmad' jo chhide zikr kahin jaane kyon tera batate hain batane wale