meri ana ka asasa zarur khak hua magar khushi hai ki tere huzur khak hua mujhe badan ke bikharne ka gham nahin lekin malal ye hai dil-e-na-subur khak hua main apni khak se raushan hua jo surat-e-mushk tamam mausam-e-gul ka ghurur khak hua bichhad ke tujh se ye kam to nahin ziyan mera har ek manzar-e-nazdik-o-dur khak hua ye kaisa qaht mere zehn-o-dil pe aaya hai 'salim' meri ghazal ka shuur khak hua