meri baat sun mere ham-nafas mere sath ab tu wafa na kar main charagh hun jo bujha hua mujhe raushni ki dua na kar main wo ashk hun jo gira nahin main wo dard hun jo hua nahin mera zarf mujh se hai kah raha mere zakhm ki tu dawa na kar teri aarzu mein sanwar gaya teri justuju mein bikhar gaya teri sazishon mein jo raaz hai tu kabhi bhi us ko kaha na kar mera ham-safar bhi raha hai tu meri har ghazal mein chhupa hai tu meri dhadkanon se tu aa ke mil mujhe rahguzar mein mila na kar ye samajh le 'sarwar'-e-gham-zada wo rahim hai wo karim hai jo likha hai us ne nasib mein kabhi us ka shikwa gila na kar