mere hisse mein ab bacha kya hai ab suna do ki faisla kya hai us ka sahil bhi dub jaega us ki sazish mein ye chhupa kya hai wo jo mil jae us se puchhunga mere bare mein sochta kya hai jis se rishta nahin hai ab koi us se milne mein phir bura kya hai sochta hun ki is zamane se bach nikalne ka rasta kya hai tu khudaon se ghir gaya naseh teri baaton mein ab dhara kya hai us ka ehsas hai magar 'sarwar' main nahin jaanta khuda kya hai