meri bala se zamana KHilaf ho jae

meri bala se zamana khilaf ho jae
main chahta hun tera zehn saf ho jae

ye abr-para nahin dost ashk-e-girya hai
ye pattharon pe gire to shigaf ho jae

agar hai shauq badon se mukalme ka tujhe
durust pahle tera shin qaf ho jae

rahe khayal ki aae na ehtiram mein farq
agar kisi se tera ikhtilaf ho jae

charagh hum ne mohabbat ke kar diye raushan
hawa ka khauf kise hai khilaf ho jae

ab is tarah jo mujhe rad karoge mumkin hai
tumhaari zid mein mera e'tiraf ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close