meri nazar mein uski tab-o-tab aur hai

meri nazar mein us ki tab-o-tab aur hai
kahte hain jis ko gauhar-e-nayab aur hai

sarshaar jis se ruh ho wo git hai juda
jo tar dil ka chhede wo mizrab aur hai

maqsud jo mujhe hai ye tabir wo nahin
jo dekhti hai aankh meri khwab aur hai

khulte hain jis se logon pe asrar-e-be-khudi
meri kitab-e-zist ka wo bab aur hai

hai zehn zindagi ke masail se muntashir
aur dil kisi ke ishq mein betab aur hai

apni jagah pe donon hi khush-rang hain magar
taus aur chiz hai surkhab aur hai

ye war bhi hadaf se kahin dur ja gira
tarkash mein tir kya koi 'nayab' aur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close