meri barbaadiyon ki ye taswir gardish-e-waqt ki hai ek lakir husn-e-tadbir ki nigahon se dekh to apne bakht ki tahrir dur kar de dilon ki tariki ai jamal-e-khulus ki tanwir tum samajhte ho jin ko mir-e-chaman zulf-e-hirs-o-hawa ke hain wo asir kha raha hun fareb-e-azadi dekh kar panw ki nai zanjir jhuti tauqir ke liye akasr bech dete hain log apna zamir kal bhi aa jaega magar 'zakhmi' kitni dhundli hai aaj ki taswir