meri be-qarari meri aah-o-zari ye wahshat nahin hai to phir aur kya hai pareshan to rahna magar kuchh na kahna mohabbat nahin hai to phir aur kya hai gham-e-zindagi nala-e-subh-gahi mere shaikh sahab ki wahi tabahi agar un ke hote wajud-e-ilahi haqiqat nahin hai to phir aur kya hai teri khud-pasandi meri waza-dari teri be-niyazi meri dost-dari junun-e-murawwat ba-har-rang tari musibat nahin hai to phir aur kya hai gharibon ko bad-haal-o-majbur rakhna unhen fikrmand aur ranjur rakhna unhen apna kahna magar dur rakhna ye hikmat nahin hai to phir aur kya hai teri rah mein har qadam jaan dena musibat bhi aae to sar apne lena mohabbat ki kashti ba-har-haal khena rifaqat nahin hai to phir aur kya hai