sahil se utha hai na samundar se utha hai jo shor meri zat ke andar se utha hai dariya-e-mohabbat ke kinare kabhi koi duba hai jo ek bar muqaddar se utha hai wo aae to is khwab ko tabir milegi jo khwab-e-jazira mere sagar se utha hai main apne rag-o-pai mein use dhund rahi hun jo shakhs abhi mere barabar se utha hai raqsan hai meri aankh mein ehsas ki manind manzar jo teri aankh ke manzar se utha hai phulon ko tere rang ne bakhshi hai kahani khushbu ka fasana tere paikar se utha hai is shahr-e-mohabbat mein wo rukta hi nahin hai jo shor tere pyar ke mehwar se utha hai ye us ka rawayya ye ana ye lab-o-lahja in sab ke sabab amn-o-sukun ghar se utha hai mehr-o-mah-o-anjum mein use dhundne walo ye sara jahan khak ke paikar se utha hai rahta hai meri aankh mein kajal ki tarah se jo dur tamannaon ke tewar se utha hai main dar se tere uth ke isi soch mein gum hun kya koi khushi se bhi tere dar se utha hai jo us ki nazar se kabhi 'afroz' utha tha is bar wo mahshar mere andar se utha hai