meri bipta bhi kitni dukh-bhari hai jise taqdir sun kar hans rahi hai yahan sochon ke par kaise khulenge mahz jismon pe sab duniya ruki hai mujhe bheja to pura tha khuda ne magar hisson ki qimat lag rahi hai kahan ka ishq aur kaisi mohabbat hawasnaki ki ek mandi saji hai main farda fakhr-e-adam kyun nahin thi bahut arzan meri boli lagi hai