siyah raat ki sab aazmaishen manzur kisi sahar ke ujale ka aasra to mila nazar mila na sake hum se wo to gham kya hai ki dil se dil ke dhadakne ka silsila to mila hai aaj aur hi kuchh zulf-e-tabdar mein kham bhatakne wale ko manzil ka rasta to mila sarishk-e-chashm se moti bahut lutae gae teri nigah ke shahidon ko khun-baha to mila jahan nigah se insan banae jate hain wo bab-e-mai-kada mere liye khula to mila sitam-zarif mohabbat ko jurm kahte hain gunah-gar ko jine ka aasra to mila na rahnuma hai na manzil dayar-e-ulfat mein qadam uthate hi khizr-e-shikasta-pa to mila mere junun ne khilae hain phul sahra mein mere junun se bahaaron ko hausla to mila samajhte the ki wafa-na-shanas hai duniya 'surur' hum ko bhi ek dard-ashna to mila