meri chah mein mere ishq mein tu kabhi kisi se lada nahin isi bhul ka ye azab hai tu mera nahin main tera nahin tha gulab main thi ye aarzu tere gesuon mein khilun kabhi nahin khil saka to ye jaan le ye teri hai meri khata nahin teri yaad mujh se bahut ladi mere ang ang mein zakhm hai main tadapta rahta hun dard se tujhe fikr meri zara nahin mera dil to tere hi pas hai tu ise khangal ke dekh le wahan tu hi tu hai har ek taraf wahan kuchh bhi tere siwa nahin tere ishq se mujhe kya mila meri zindagi hui maut si mujhe ab talash sukun ki hai mujhe ab junun-e-hina nahin mujhe aisi zat se ishq hai jo ho mehrban to maut kab hai fanaiyat mein nihan baqa hai baqa agar to fana nahin