zaban pe nala-o-fariyaad ke siwa kya hai hamare dil mein teri yaad ke siwa kya hai udhar to rang hai masti hai shadmani hai idhar bas ek dil-e-nashad ke siwa kya hai jo dekhiye to udhar sau jahan hain aabaad idhar ek aalam-e-barbaad ke siwa kya hai khizan ki fikr na ab intizar-e-fasl-e-bahaar chaman mein shikwa-e-sayyaad ke siwa kya hai hai ek zat pe iman aur yaqin markuz sab aur kufr ke ilhad ke siwa kya hai hamara nam-o-nasab puchhne se kya hasil misal-e-aba-o-ajdad ke siwa kya hai ye aarzu hai ki tamir ho makan 'rizwan' abhi zamin pe buniyaad ke siwa kya hai