meri chahaton ka sila de rahe ho

meri chahaton ka sila de rahe ho
yun lagta hai jaise saza de rahe ho

na sahil na sahil ke aasar tak hain
dilase abas nakhuda de rahe ho

adaon ishaaron se lagta hai jaise
koi zakhm phir se naya de rahe ho

yahan har koi khud mein duba hai gum hai
diwane kise tum sada de rahe ho

meri jaan manga tha kuchh aur main ne
gham-e-hijr phir se ye kya de rahe ho

mohabbat sikha di tumhein jis ne us ko
wafa ke bajae dagha de rahe ho

badi muddaton baad shoale bujhe hain
tum is aag ko phir hawa de rahe ho

kahin wo hawaon ka hami na nikle
jise apna 'farhat' diya de rahe ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close