kaun wo baaten sunta hai jo fasl-e-junun ke bab mein hain

kaun wo baaten sunta hai jo fasl-e-junun ke bab mein hain
kis kis ko bedar karun sab suraj mere khwab mein hain

biphre pani ki maujen har ghar ki chhat pe raqsan hain
khair manaun kis kis ki sab shahr mere sailab mein hain

chuna-gach diwaron mein jhanko to kharabe paoge
meri tarah kitne hi yahan suqraat mere ahbab mein hain

kis kufi ne khat ke pahre lagae hain padhti aankhon par
kitne hi mafhum abhi tak lafzon ke girdab mein hain

jin sadmon se guzre hain ye kab ke tut gae hote
yun lagta hai jaise koi faulad mere aasab mein hain

patthar-des mein kis ko sunae ja ke koi fariyaad apni
jaane kitne hashr bapa 'farigh' ke dil-e-betab mein hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close