meri chashm-e-tamasha ab jahan hai tajalli karwan dar karwan hai yaqin hai aakhiri manzil guman ki yaqin ki aakhiri manzil guman hai wo mujh se dur to itne nahin hain faqat ek be-yaqini darmiyan hai ye raaz ahl-e-fughan par fash kar do khamoshi bhi ek andaz-e-fughan hai ye mir-e-karwan se koi kah de ki main hun aur talash-e-karwan hai