meri dariya-dili ka aks-e-kaamil dekhne wale samundar dekh len pahle mera dil dekhne wale kabhi qaid-o-musibat se rihai pa nahin sakte qafas mein baith kar tauq-o-salasil dekhne wale na jaane aakhiri hichki mein kaisa dard pinhan tha pareshan ho gae hain raqs-e-bismil dekhne wale nahin aasudgi to phir wafa kaisi jafa kaisi mera chehra nahin padhte mera dil dekhne wale mere aane se mahfil mein hui hai 'nur' ki barish bulao ab kahan hai rang-e-mahfil dekhne wale