mita chuka rah-e-ulfat mein zindagani ko zamana ab to sunega meri kahani ko nazar na aaya sukun ka kahin koi lamha bahut qarib se dekha hai zindagani ko sunega kaun kise hogi is qadar fursat tawil kar to rahe ho meri kahani ko wo mast mast nigahen asar jama hi gain alag sharab se karta raha main pani ko kabhi to un ki tawajjoh meri taraf hogi hazar bar main dohraunga kahani ko tere khayal se ghafil kahin na ho jaun main chhute darta hun ab jam-e-arghawani ko hayat-e-nau jise bakhshi thi 'nur' main ne kabhi mita raha hai wahi meri zindagani ko