meri dastan-e-alam to sun koi zalzala nahin aaega mera muddaa nahin aaega tera tazkira nahin aaega kai ghatiyon pe muhit hai meri zindagi ki ye rahguzar teri wapsi bhi hui agar tujhe rasta nahin aaega agar aae dasht mein jhel to mujhe ehtiyat se phenkna ki main barg-e-khushk hun dosto mujhe tairna nahin aaega agar aae din teri rah mein teri khoj mein teri chah mein yunhi qafile jo luta kiye koi qafila nahin aaega kahin intiha ki malamaten kahin pattharon se ati chhaten tere shahr mein mere baad ab koi sar-phira nahin aaega koi intizar ka faeda mere yar 'bedil'-e-gham-zada tujhe chhod kar jo chala gaya nahin aaega nahin aaega