zamin jaise ki aatish-fishan ko sath liye yun ji raha hun main dard-e-nihan ko sath liye hua shikar siyasat ka ab ke mausam bhi bahaar aai hai lekin khizan ko sath liye ruko to yun ki thahar jae gardish-e-dauran chalo to aise ki sare jahan ko sath liye nafas nafas hain ujale hazar karb liye har ek raat hai ek dastan ko sath liye kise zamin ke masail ki fikr ho 'khalid' har ek nazar hai yahan aasman ko sath liye