meri diwangi ki had na puchho tum kahan tak hai zamin par hun magar meri rasai la-makan tak hai tera jalwa to aise aam hai sare zamane mein wahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai kisi ko kya khabar ehsas hai lekin mere dil ko ki us ke pyar ki barsat mere dasht-e-jaan tak hai zara barq-e-sitam se puchh leta kash koi ye tere qahr-o-ghazab ka silsila aakhir kahan tak hai hamin chubhte hain kyun kanton ki surat aankh mein teri fasadi ka nishana kyun hamare hi makan tak hai tawajjoh khak ke zarron ki jaanib kyun karen 'afzal' nazar apni mah-o-parwin tak hai kahkashan tak hai