sab kuchh bas kahne ko bhula jata hai

sab kuchh bas kahne ko bhula jata hai
warna zehn se kab wo chehra jata hai

yaad barabar aata rahta hai wo shakhs
nashshon ka paisa bhi zaea jata hai

kuchh yun tut ke girte hain aankhon se khwab
shisha bhi hairani mein aa jata hai

us hansti taswir ko aakhir kya malum
us ko dekh ke kitna roya jata hai

is darja khamosh raha hun muddat se
yaad nahin hai kaise bola jata hai

mujh ko ishq aur duniya donon dekhne hain
sani khinch bhi lun to ula jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close