meri duniya sang-o-ahan un ki duniya chand-sitare aql kahan tak daman khinche ishq kahan tak hath pasare apni apni dhun mein magan hain shamon subhon ke matwale subh ke aansu kaun sukhae raat ke gesu kaun sanware aabla-pa rahgiron ko jharnon se dil bahlane bhi de azm-e-jawan ko aur jawan kar apni manzil dur hai pyare chham chham chham chham nachti maujen ye sargoshi karti jaen tufanon ki rah takenge kab tak ye majbur kinare 'nur' aqidon ke shoalon mein ruhen jalti dekh chuki hain tum bhi batao in aankhon se aansu tapken ya angare