yun be-dam hain sansen ghutan kuchh nahin hai kisi dard ki ab chubhan kuchh nahin hai khilaune hain mitti ke hum sab yahan par haqiqat yahi hai badan kuchh nahin hai ye mana ki paikar bahut kuchh hai lekin bina ruh ye pairahan kuchh nahin hai lagi aag khwabon mein itni ki samjho ye aankhon ki mere jalan kuchh nahin hai main khud mustaqil hun safar mein so mujh ko ye lagne laga hai thakan kuchh nahin hai bina sath tere sabhi kuchh hai suna ye duniya jahan anjuman kuchh nahin hai numaish hai sab 'mit' mere ghamon ki ghazal kuchh nahin hai sukhan kuchh nahin hai