meri haalat dekhiye aur unki surat dekhiye

meri haalat dekhiye aur un ki surat dekhiye
phir nigah-e-ghaur se qanun-e-qudrat dekhiye

sair-e-mahtab-o-kawakib se tabassum ta-bake
ro rahi hai wo kisi ki sham-e-turbat dekhiye

aap ek jalwa sarasar main sarapa ek nazar
apni hajat dekhiye meri zarurat dekhiye

apne saman-e-tayyush se agar fursat mile
bekason ka bhi kabhi tarz-e-maishat dekhiye

muskura kar is tarah aaya na kije samne
kis qadar kamzor hun main meri surat dekhiye

aap ko laya hun viranon mein ibrat ke liye
hazrat-e-dil dekhiye apni haqiqat dekhiye

sirf itne ke liye aankhen hamein bakhshi gain
dekhiye duniya ke manzar aur ba-ibrat dekhiye

maut bhi aai to chehre par tabassum hi raha
zabt par hai kis qadar hum ko bhi qudrat dekhiye

ye bhi koi baat hai har waqt daulat ka khayal
aadmi hain aap agar to aadmiyat dekhiye

phut niklega jabin se ek chashma husn ka
subh uth kar khanda-e-saman-e-qudrat dekhiye

rashha-e-shabnam bahaar-e-gul farogh-e-mehr-o-mah
wah kya ashaar hain diwan-e-fitrat dekhiye

is se badh kar aur ibrat ka sabaq mumkin nahin
jo nashat-e-zindagi the un ki turbat dekhiye

thi khata un ki magar jab aa gae wo samne
jhuk gain meri hi aankhen rasm-e-ulfat dekhiye

khush-numa ya bad-numa ho dahr ki har chiz mein
'josh' ki takhil kahti hai ki nudrat dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close