mila jo mauqa to rok dunga 'jalal' roz-e-hisab tera padhunga rahmat ka wo qasida ki hans padega itab tera yahi to hain do sutun-e-mahkam inhin pe qaim hai nazm-e-alam yahi to hai raaz-e-khuld-o-adam nigah meri shabab tera saba tasadduq tere nafas par chaman tere pairahan pe qurban nasim-e-doshizgi mein kaisa basa hua hai shabab tera tamam mahfil ke ru-ba-ru go uthain nazren milain aankhen samajh saka ek bhi na lekin sawal mera jawab tera hazar shakhen ada se lachkin hua na tera sa loch paida shafaq ne kitne hi rang badle mila na rang-e-shabab tera idhar mera dil tadap raha hai teri jawani ki justuju mein udhar mere dil ki aarzu mein machal raha hai shabab tera karegi donon ka chaak parda rahega donon ko kar ke ruswa ye shorish-e-zauq-e-did meri ye ehtimam-e-hijab tera jaden pahadon ki tut jatin falak to kya arsh kanp uthta agar main dil par na rok leta tamam zor-e-shabab tera bhala hua 'josh' ne hataya nigah ka chashm-e-tar se parda bala se jati rahen gar aankhen khula to band-e-naqab tera