meri har sans ko sab naghma-e-mahfil samajhte hain magar ahl-e-dil aawaz-e-shikast-e-dil samajhte hain guman kashana-e-rangin ka hai jis par nigahon ko use ahl-e-nazar gard-e-rah-e-manzil samajhte hain ilahi kashti-e-dil bah rahi hai kis samundar mein nikal aati hain maujen hum jise sahil samajhte hain tarab-angez hain ranginiyan fasl-e-bahaari ki magar bulbul unhen khun-e-rag-e-bismil samajhte hain pighal kar dil lahu ho ho ke bah jata hai aankhon se sitam hai shama ko jo zinat-e-mahfil samajhte hain kahan hoga thikana barq-raftari un ki wahshat ka ki wo manzil ko bhi sang-e-rah-e-manzil samajhte hain bagule ud rahe hain jo hamare dasht-e-wahshat mein unhin ko ai 'asar' hum parda-e-mahmil samajhte hain