wo un ka hijab aur nazakat ke nazare aae wo shab-e-wada tasawwur ke sahaare wo kali ghata aur wo badhte hue dhaare zahid bhi agar dekhe to saqi ko pukare wo jalwa-gah-e-naz wo makhmur nigahen ab kya kahun ye lamhe kahan main ne guzare khud husn ka mear nira zauq-e-nazar hain utne hi hasin aap hain jitne mujhe pyare be-wajh nahin husn ki tanwir mein tabish wo dete hain khakistar-e-ulfat ke sharare tum chaho to do lafzon mein tai hote hain jhagde kuchh shikwe hain beja mere kuchh uzr tumhaare phir jam-ba-kaf ho gai har chiz 'asar' aaj yaad aa gae phir madh-bhari aankhon ke ishaare