meri iltija se khafa na ho ki wo josh-e-dil tha gila na tha kabhi ranj main ne saha na tha kabhi dil kisi ko diya na tha mere hathon mujh ko alam mile ye main kyon kahun ki khuda na tha mera kaba tha haram-e-butan mera qibla qibla-numa na tha teri ehtiyat-e-nigah se tere iltifat-e-nigah tak mera haal lakh bura sahi magar is qadar bhi bura na tha ba-hazar ishwa-e-jaan-sitan wo phir apna jalwa dikha gae abhi aag dil ki dabi na thi abhi zakhm dil ka bhara na tha mere dard-e-dil ka wo majra mere rang-e-rukh se ayan hua jo kisi se main ne kaha na tha jo kisi ne mujh se suna na tha ye main kyon kahun mera dil gaya ki fughan se arsh to hil gaya mujhe intizar mein mil gaya tere wasl mein jo maza na tha wo niyaz-e-ishq ki sazishen wo ghurur-e-husn ki nazishen mujhe e'timad-e-sitam na tha unhen aitabar-e-wafa na tha ye bata ki 'basit'-e-khasta ko teri bazm-e-naz se kya mila abhi dil-ba-dast gaya tha wo abhi hath dil se juda na tha