meri is diwangi ki apni ek raftar hai ishq mein har aadmi ki apni ek raftar hai koi aashiq koi mai-kash koi koi muflis hai yahan har kisi ki khud-kushi ki apni ek raftar hai aap aage hum hain pichhe par nahin hum ko gila har kisi ki zindagi ki apni ek raftar hai kaun dhundhe dost phir se kaun phir se khae zakhm har kisi ki dosti ki apni ek raftar hai tez qadmon se badhe jate hain hum su-e-sarab is musalsal tishnagi ki apni ek raftar hai