garche gul ki sej ho tis par bhi ud jati hai nind sar rakhun qadmon pe jab tere mujhe aati hai nind dekh sakta hi nahin aankhon se tuk aankhen mila muntazir se misl-e-nargis tere sharmati hai nind jab se ye mizhgan hue dar par tere jarub-kash ru-ba-ru tab se meri aankhon ke tal jati hai nind dhyan mein gul-ru ke chain aata nahin afsana-gar le saba se gah bu-e-yar bahlati hai nind ashk to itne bahe 'chanda' ki chashm-e-khalq se qurrat-ul-ain-e-ali ke gham mein bah jati hai nind