meri judaiyon se wo mil kar nahin gaya us ke baghair main bhi koi mar nahin gaya duniya mein ghum phir ke bhi aise laga mujhe jaise main apni zat se bahar nahin gaya kya khub hain hamari taraqqi-pasandiyan zine bana liye koi upar nahin gaya jughrafie ne kat diye raste mere tarikh ko gila hai ki main ghar nahin gaya aisi koi ajib imarat thi zindagi bahar se jhankta raha andar nahin gaya dala na doston ko kabhi imtihan mein sahra mein mere sath samundar nahin gaya us waqt tak sulagti rahi us ki aarzu jab tak dhuen se sara badan bhar nahin gaya zillat ke bhaw bik gain izzat-maabiyan dastar us ki jati rahi sar nahin gaya khwahish hawas ke rup mein achchhi nahin lagi duniya ko fath kar ke sikandar nahin gaya kandhon pe apne log use le gae kahan pairon se apne chal ke 'muzaffar' nahin gaya