usi jannat jahannam mein marunga gae mausam ko aawazen na dunga nae jismon se maqtal jagte hain nae logon ke raste par chalunga meri aankhen salamat hain to phir main parae khwab le kar kya karunga lahu ki surkhiyan mere alam hain khizan ke zard lashkar se ladunga kisi khitte mein qatl-e-raushni ho main apne shahr par nauha kahunga aur us par jo sitam tutega us ko tumhaare nam likkhunga sahunga